Skip to main content

Posts

Showing posts from June, 2019

Humne di thi tujhe ajadi-e-rishte nibhane ki

Humne di thi tujhe ajadi-e-rishte nibhane ki, Tumne to har ek shakhs se mohabbat kar li.                            -Alok Kumar- *ajadi-e-rishte - Freedom of relationship

Jaroori To Nahi Ghazal By Aalok Kumar

Mohabbat ki misale di jayein ye jaroori to nahi, lafzo ke mayane bataye jaye ye jaroori to nahi Vo bhigte rahe akele savan ki barishon me, Sath bhig Jane ka ji chahe ye jaroori to nahi. Shayad khamoshi hi bayan kar de kuchh unhe, Mohabbat ko har bar lafz dena jaroori to nahi. Ek arsa ho gaya hai mujhe tumse mile hue, Kabhi mil bhi na sake itni doori to nahi. Hasratein-e-ishq me barbad hue aur bhi kai, Unhe bhi tut kar chahe koi ye jaroori to nahi. Teri chahat me bahut dur nikal aaye hai hum, Tum is safar me mil jao hume ye jaroori to nahi.                                  -Alok Kumar- *Hasratein-e-ishq - Desire of love

Ye fursato ke aalam bhi bade pechidein hai

Ye fursato ke aalam bhi bade pechidein hai, Hum to teri yadon ke masroofiyat me hi thik the.                                -Alok Kumar-

Pehle aate the uske khat bhi hamare name se

Pehle aate the uske khat bhi hamare name se, Aaj arso bad mile bhi to Janne se inkar kar diya.                                    -Alok Kumar-

Kuchh Ajeeb se silsile rahe hamare Mohabbat ke

Kuchh ajeeb se silsile rahe hamare mohabbat ke, Vo hamse chahne ka hunar sikhte rahe kisi aur ke liye.                                    -Alok Kumar-

Kyu khayal rahe unhe hamare

Kyu khayal rahe unhe hamare gam-e-jindagi ka, Jo shakhs ata me bhi hame gam-e-jahan de gaya.                                      -Alok Kumar- *Ata-Gift *Gam-e-jahan - Sorrow of the world *Gam-e-jindagi - Sorrow of life

Yakeenan mere gunaho ki maafi nahi

Yakeenan Mere Gunaho Ki Maafi Nahi Hai, Bas Ek Bar Ijazat Do Tumhari Sajda Karne Ka.                              -Alok Kumar-

Ab Tanhaiyon Me Bhi Khush Rehne Laga Hun

Ab Tanhaiyon Me Bhi Khush Rehne Laga Hun, Sayad Teri Yadon Ko Bhulne Laga Hun Main.                               -Alok Kumar-

Kuchh Waqt To De Mujhe Sambhalne Ka

Kuchh Waqt To De Mujhe Sambhalne Ka ae-Khuda, Uski Mohabbat Me Khud Ko Bhi Bhul Gaya Tha Mai.                                -Alok Kumar-

Tum Mohabbat Ki Aakhiri Khat

Tum Mohabbat Ke Us Aakhiri Khat Si Thi, Mai Dil Me Hasrat Liye Sirf Tujhe Padhta Raha.                            -Alok Kumar-

Bekhauf Hai Vo Apne Hi Eradon Se Alok

Bekhauf Hai Vo Apne Hi Iradon Se Alok, Aur Yaha Har Shakhs Unki Amadgi Janta hai.                              -Alok Kumar- *Amadgi-Will

Aaj Jo Tere Dil-e-pashban Hai

Aaj Jo Tere Dil-Pashban Hai, Kal vahi tere jism Noch lenge.                   -Alok Kumar- *Pashban-Protector

Jis Ruhaniyat Se Guftgu Karti Hai Vo

Jis Ruhaniyat Se Guftgu Karti Hai Vo, Mohabbat Ho Jayegi Har Shakhs Ko.                        - Alok Kumar- *Ruhaniyat-Soulfulness

Itni Qurbat Achchi Nahi

Itni Qurbat Achchi Nahi Gairo Se, Har Shakhs Mujhsa Nahi Hota.                  -Alok Kumar- *Qurbat-Closeness

Hum Itne Bhi Mukhtalif Nahi Hai

Hum Itne Bhi Mukhtalif Nahi Hai Ek Dusre Se, Bas Tera Fareb Hona Mujhse Juda Karta Hai.                               -Alok Kumar- *Mukhtalif-different

Hasrat To Thi Tumhe Apne Bahon Me

Hasrat To Thi Tumhe Apni Bahon Me Lene Ki, Par Aansuon Se Aage Kabhi Bat Badhi Hi Nahi.                               - Alok Kumar-

Kitni Aafreen Hai Aankhein tumhari

Kitni Aafreen Hai ye Tumhari Aankhein, Tafseel Karti Hai Masoomiyat Tumhari.                        - Alok Kumar- *Aafreen- Beautiful *Tafseel - Reveal

In Aankhon Ko Kab Tak Bhigi Rakhoge

In Aankhon Ko Kab Tak Bhigi Rakhoge Bata Dena, Humne Bhi Bade Sauk Se Kajal Kharida Tha.                                  -Alok Kumar -

Har Ek Bat Mehfil Me Kehni

Har Ek Bat Mehfil Me Kehni Jaroor Nahi Hoti, Kabhi Kabhi Aankhein Bhi Dard Bayan Kar Jati Hai.                                 -Alok Kumar-

Yakeenan Kitne Khudgarz Hai Vo

Yakinan Kitne Khudgarz Hai Vo Bhi Yaron, Dil Tod Ke Bhi Kehte Hai Aankhon Me Aansun Kaise.                                -Alok Kumar- *Khudgarz-Selfish                      

Dekhna Chahte The Aabshar Ki Bhigi

Dekhna Chahte The Aabshar Ki Bhigi Julfein Teri, Par Hume Mohabbat Ka Ek Katra Bhi Nasib Na Hua                                -Alok Kumar- *Aabshar - Waterfall *Katra - Drop

Meri Mohabbat To Musalsal Hai Ab Tak

Meri Mohabbat To Musalsal Hai Ab Tak, Tumne Apne Aashiqon Me Badi Tabdili Ki Hai.                              -Alok Kumar- *Musalsal-Constant *Tabdili - Changes

Mat Puchh Dil Ka Hal Likhne Valon ki

Mat Puchh Dil Ka Hal Likhne Valon Ki Alok, Log To Unke Bayan-e-dard Pe Bhi Wah Karte Hai.                                 -Alok Kumar- *bayan-e-dard - expression of sorrow

Ajeeb Hal Me Pahuch Gayi Hai

Ajeeb hal me pahuch gayi hai ae-jindagi, Ab na to koi ajnabee raha na koi apna.                       -Alok Kumar-

Kyu Aankhein Nahi Hatati

Kyu Aankhein Nahi Hatati Us Shaks Se, Jise Na Dekhne Ki Kashme Roj Khate Hai.                          -Alok Kumar-

Ye Raton Me Neendein

Ye Raton Me Neendein N Aane Ki Wajah Bata Khuda, Ab To Kuchh Bhi Baki N Raha Khone Ke Liye.                             -Alok Kumar-

Wakai Kya Ajeeb Si Dastan Thi

Wakai Kya Ajeeb Si Dastan Thi Hamare Pyar Ki, Itni Takleef Di Phir Bhi unki Khushiyon Ki Dua Karte Hai.                                 -Alok Kumar-

Kyu Khushiyan Chhin Li Meri

Kyu Khushiyan Chhin Li Meri Tune Khuda, Maine Khud Ke Shiva Kisi Ka Bura Nahi Chaha.                                -Alok Kumar-

My one sided fictional love story

Sakshi that she was going home after her end semester exam and she was on the train traveling from Ahmedabad to Jabalpur. I entered in her A/C coach without a ticket, I searched her and there she was sitting with other passengers. I really didn't care about all the people who were staring at me for no reason. When she saw me in her coach she gets surprised and her eyebrows are up like asking a question what are doing here but she uncomfortably asks that "tum bhi ghar ja rahe ho kya" that sweet voice I wanted to hear every second of my life but my condition was like an optimist farmer who was hoping and praying for raining every minute of his life. I said "Nahi, Tumse kuchh jaroori bat Karni thi" and she said "bolo", I said "yaha Nahi, koi aur jagah chalte hai”. Because i don't want that anyone listen to our conversation she agreed and ready to come with me. Now we standing beside the sink of the train’s coach. She said “bolo, kya bolna th...