Skip to main content

Jaroori To Nahi Ghazal By Aalok Kumar

Mohabbat ki misale di jayein ye jaroori to nahi,
lafzo ke mayane bataye jaye ye jaroori to nahi

Vo bhigte rahe akele savan ki barishon me,
Sath bhig Jane ka ji chahe ye jaroori to nahi.

Shayad khamoshi hi bayan kar de kuchh unhe,
Mohabbat ko har bar lafz dena jaroori to nahi.

Ek arsa ho gaya hai mujhe tumse mile hue,
Kabhi mil bhi na sake itni doori to nahi.

Hasratein-e-ishq me barbad hue aur bhi kai,
Unhe bhi tut kar chahe koi ye jaroori to nahi.

Teri chahat me bahut dur nikal aaye hai hum,
Tum is safar me mil jao hume ye jaroori to nahi.

                                 -Alok Kumar-

*Hasratein-e-ishq - Desire of love

Alok Kumar shayari, Alok yadav shayari, Alok shayari

Comments

Popular posts from this blog

Teri tarif me rekhti ke alfaz bhi

Teri tarif me rekhti ke alfaz bhi kam pade, Jo teri justju to chand bhi karta hoga.                            -Alok Kumar