Skip to main content

Tumhe pane ke siva ghazal by Aalok Kumar

Manjilein aur bhi hai tumhe pane ke siva,
Laut aane ki wajah aur bhi hai Jane ke siva.

Khwahish to hai tere sang duniya basane ki,
Ab kuchh bacha hi nahi tujhe bhulane ke siva.

Hum bhi in rahon me tera intezar karte rahe,
vasl-e-raah aur bhi hai janaje me aane ke siva.

Kuchh Ajeeb se rishtein kayam hue hamare,
Wadein bhi hazaro kiye unhe nibhane ke siva.

Teri yadon ke makbare ko mehfooz rakha hai,
Farz-e-mohabbat aur bhi hai unhe jatane ke siva.

                              -Alok Kumar-


Farz-e-mohabbat - Responsibility of love
Vasl-e-raah - Way of union

Jaroori to nahi, Alok Kumar shayari, Alok yadav shayari , Alok shayari


Comments

Popular posts from this blog

Teri tarif me rekhti ke alfaz bhi

Teri tarif me rekhti ke alfaz bhi kam pade, Jo teri justju to chand bhi karta hoga.                            -Alok Kumar