Skip to main content

Posts

Showing posts from July, 2019

Nakam rahi sari koshishein meri unhe manane ki

Nakam rahi sari koshishein meri unhe manane ki, Shayad sikayato ki fehrishtein badi lambi thi.                            -Alok Kumar-

Khwahishein to thi tere sang barish me bhigne ki

Khwahishein to thi tere sang barish me bhigne ki, Par gamon ke badal kabhi chhate hi nahi.                       -Alok Kumar-

Shayad tum aur khuda kuchh ek jaise the

Shayad tum aur khuda kuchh ek jaise the. Meri mohabbat ki bandagi kisi ne nahi suni.                          -Alok Kumar-

Badi ajnabee se lagti hai ye shamein bhi

Badi ajnabee se lagti hai ye shamein bhi, Tumhare sath hone ka daur kuchh aur tha.                           -Alok Kumar-

Aadtein kya jindagi ki tasveer badal dete

Aadtein kya jindagi ki tasveer badal dete, Bas itna kaha hota ke tum mere layak nahi ho.                         -Alok Kumar-

Vo dekhtein hai suni rat me aasman ko

Vo dekhtein hai suni rat me aasman ko, Kash mai bhi koi tuta hua sitara hota.                      -Alok Kumar-

Rishtein bhi bas takalluf ke reh gaye hai

Rishtein bhi bas takalluf ke reh gaye hai, Ab hichkiyon me hi yad kar liya karte hai unhe.                          -Alok Kumar-

Mukhtasar thi hamari mohabbat ke lamhe

Mukhtasar thi hamari mohabbat ke lamhe, Phir tumhe bhulne me kyu arsa lag gaya.                           -Alok Kumar-

Tere lehze pe ab bhi fida hun mai

Tere lehze pe ab bhi fida hun mai, Par ab tujhse bat karne ka ji nahi karta.                         -Alok Kumar-

Vo gair hokar bhi hamari khairiyat puchhte hai

Vo gair hokar bhi hamari khairiyat puchhte hai, Hal-e-dil sunane ki himmat ab rahi nahi mujhme.                           -Alok Kumar-

In aankhon me ab aansun thamte hi nahi

In aankhon me ab aansun thamte hi nahi, Pata nahi kasoor tumhara hai ya aankhon ka.                            -Alok Kumar-

Ab wo waqt nahi ki mai inteza karun tumhara

Ab wo waqt nahi ki mai inteza karun tumhara, Silsile mohabbat ke bhi khatm ho jaya karti hai.                            -Alok Kumar-

Hunar tha hi nahi mujhme jhuthi wafa ka

Hunar tha hi nahi mujhme jhuthi wafa ka, Mere rakib aise karnamo ke ustad nikle.                          -Alok Kumar-

Shayad mohabbat me yahi hai dastoor-e-judai

Shayad mohabbat me yahi hai dastoor-e-judai, Akshar aise rishte dam tod jaya karti hai.                          -Alok Kumar-

Tujhe yad karne me udasi bahut hai

Tujhe yad karne me udasi bahut hai, Hamare darmiyan khamoshi bahut hai.                         -Alok Kumar-

Kuchh sakho se patte gir gaye

Kuchh sakho se patte gir gaye baad-e-saba me, Shayad ye hawa ka jhoke teri julfon se aaye the.                                -Alok Kumar-

Vo dastan-e-mohabbat ke afasane sunti thi

Vo dastan-e-mohabbat ke afasane sunti thi, Kash kabhi mere bhi alfazon ko samjha hota.                              -Alok Kumar-

Tumhe pane ke siva ghazal by Aalok Kumar

Manjilein aur bhi hai tumhe pane ke siva, Laut aane ki wajah aur bhi hai Jane ke siva. Khwahish to hai tere sang duniya basane ki, Ab kuchh bacha hi nahi tujhe bhulane ke siva. Hum bhi in rahon me tera intezar karte rahe, vasl-e-raah aur bhi hai janaje me aane ke siva. Kuchh Ajeeb se rishtein kayam hue hamare, Wadein bhi hazaro kiye unhe nibhane ke siva. Teri yadon ke makbare ko mehfooz rakha hai, Farz-e-mohabbat aur bhi hai unhe jatane ke siva.                               -Alok Kumar- Farz-e-mohabbat - Responsibility of love Vasl-e-raah - Way of union